Breaking

Facebook Account Blocked and Disabled क्यों होता है (Top Reasons)


Facebook Account Blocked and Disabled Top Reasons

Facebook Account blocked and Permanently Disable kyu hota hai

 Friend's aaj ka hamara topic facebook bloked and disabled se related or most important point par hai . jesse ki aapne bhi kabhi na kabhi ye problem face ki hogi ki suddenly aapka facebook account blocked ho gya hai and aap fir yahi soch ne lagte ho asi konsi galti ki vajah se mera facebook account block hua hai. Aap iska reason jana chahte ho par jan nahi pate. Frns aaj ham aapse inhi major point ki jaankari share karege jinko samaj kar aap bhi apna facebook account blocked hone se bacha sakte hai .

Facebook account blocked hone ke main karan 

Ham Aapko 10 main reason ke bare mai btaane ja rahe hai.Ager aap niche diye gaye reason ko ek baar pad lenge or apne mind mai store kar lege to aap apni facebook id ko blocked hone se bacha payege.


1.Fake Account Create Karna 

  Facebook sabse popular social site hai par facebook par fake account bhi unlimited hai.Ab Facebook in account par action le raha hai or in account ko parmanently delete kar raha hai. Ager aapka bhi facebook par fake account hai ya to aap us account ko kud se hi delete kar dijiye nahi to facebook aaj nahi to kal fake account ko delete kar sakta hai.Bahut se log facebook par fake account create karte hai. Par vo log jada din tak success nahi ho paate or vo  sabhi fake account jada din tak run nahi ho pate kyuki ab facebook team and facebook robot bahut hi jaldi esse fake account ko crawl kar letta hai and in account ko bloked kar deta hai. Fir aap us account ko bass permanent disabled hone ka intjaar hi kar sakte hai par vo account reopen nahi kar sakte. To dosto  hamesa original name se hi facebook account create kare.

2. Text ko limit se Jada Copy Paste Karna 

Ager aap facebook par Limit se jada copy paste ka use kar rahe hai. to aapka facebook account ke blocked hone ke chance hai. Facebook ke according aap ek limit ke according hi koi bhi article like story, poetry etc jo aapko achi lagi or aapne us poetry ya story ya or koi bhi article copy kar and apni facebook wall par share kiya to aapka account blocked ho sakta hai. Aap ek limit mai rah kar hi aesa kar sakte hai.

3. Group Post limit ko cross karna

Ager aap Group mai limit se jada post kar rahe hai to bhi aapka account safe nahi hai. Accroding to facebook aap Group mai ek limit mai rah kar hi post share kar sakte hai . facebook robot aapki is harkat par najar rakta hai ager aapne facebook Group Post limit ko toda to aapki fb id danger sitution mai aa sakti hai. 

4. Group Join Limit ko todna 

Ager aap Facebook group ko join kar rahe hai to aap ek din mai jada se jada 1 ya 2 group hi join kare. Kyuki facebook ne par day and overall Group join limit rak rakhi hai. ager aap anjane mai ya janbujkar is limit se bahar ho kar Group join kar rahe hai to aapka facebook account blocked ho sakta hai.or jada se jada aap 200 groups hi join kare.

5. Friend Request Limit ko Todna

Ager aap Friend Request Limit ko todte hai to bhi aapka account blocked hone ka chance hai. According to Facebook Ager aap baar baar friend request or lagbag par day 20 to above Request send karte hai or 20 mai se 15 request reject kar di jati hai to definately aapka account Danger situation mai aaa sakta hai . To please limit mai rahkar or known person ko hi Request send kare.

6. Friend Request Accept and Reject limit cross karna

Ager aap friend request limit se jada accept ya reject kar rahe hai to bhi aapka fb account band hone ke chance hai. According to facebook aap par day maximam 50 friends ko hi apni friend list mai samil kar sakte hai. ager aapne 50 friend se above one day mai friend request accept ki to aapka aacount disable ho sakta hai. and ye rule friend request reject karne par bhi laghu hota hai.


7. Unwanted link Share Karna


Friend, Facebook third party link ko share karna allow nahi karta hai. Par fir bhi aap or mai is galti ko baar baar karte hai kyuki kayi baar in link ko share karne ka hamara motive sirf kuch achi information ko link ke jariye share karna hota hai. Facebook bhi is baat ko samaj kar aapki id ko bloked nahi karta but ager aap bar bar ek hi link ko share karte hai to facebook ko lagta hai aap link ko promote kar rahe hai or ishi ke chalte aapka fb account blocked kar diya jata hai.


8.  Misuse Poke Feature

Facebook account mai aapne poke ka option to deka hi hoga par aapko iske use ka sayed hi pta ho. Kyuki bahut se logo ko poke use ka pta hi nahi hai. Poke ka use ham kisi friend ki post par nrajgi jatane ke liye karte hai. Ager aap is option ka use Facebook Limit ke according kar rahe hai to aapka facebook account safe rahega par ager aap is option ka use kar baar baar kisi friend ko disturb karte hai to aapki id ke blocked ho jane ka katra bad jata hai.

9.  Site Advertisement

Dosto ager aap facebook id ka use apni site ya kisi or site ki advertisement ke liye kar rahe hai to bhi aapke account ke blocked hone ke chance hai.kyuki facebook robot baar baar share kiye gaye same name url ko catch kar leta hai or fir us facebook id ko blocked kar deta hai.Ager aap facebook id ko safe rakna chahte hai to aap apni ya kisi or ki bhi site ko facebook mai share na kare.

10. Wrong Password 

Ager aap Facebook account login password bul gaye hai to aap wrong password ko enter mat kare aap forgot password option ka use kar password ka pta kare. kyuki ager aapne baar baar wrong password enter kiya to aapka facebook account blocked bhi ho sakta hai.


Facebook Account Blocked and Disabled Top Reasons

Final Word...

Friends.. Ager aap in sabhi rules ko follow kar facebook ka use kare ge to aapke facebook account mai blocked related problem nahi aayegi . But ager aapne in sabhi rules mai se kisi ek ko bhi toda to aapka facebook account aaj nahi to kal 100% blocked ya permanent disable jaroor ho jayega.

Ager aap ko is post ke jariye kuch nya sikne ko mila hai to please aap Post ko share kar apne friend ko bhi padne ka moka de..

gyanimaster.com


Faceboo App Disabled, Facebook App Information, Facebook App Uses, Facebook App Information in Hindi, facebook App Locked, facebook App Blocked, facebook App instruction in hindi 

3 comments: