Breaking

Smart Fone Hang Problem को कैसे Solve करे (Unique Tips)

Smart Fone ko Hang hone Se Kaise Bachaye


How to Solve Smart Fone Hang problem


Ager aapke paas Smart Fone hai to kabhi na kabhi aapne bhi Smart Fone ki hang problem ko face kiya hoga. Aapne dekha hoga chalte chalte aapka fone touch Response slow kar raha hai ya hang hokar Response hi nahi kar raha hai. Fir aap Smart Fone ko tik karne ke liye ya to smart Fone ki battery ko nikal kar dubara ON karte hai ya fone ke response ka wait karte hai. Par Fir bhi Smart Fone Hang Problem thik nahi hoti.  Fone ki Hang ko kaise solve kiya jaye is post mai ham ishi bare mai janege.

Smart Fone Hang Kyu Hota hai ?


Smart Fone ke Hang Hone ke Bahut se Karan Ho Sakte hai par Jo Main Reason Hai unke bare mai discuss karte hai. Ager apne fone mai heavy app use kiya hai to aapka fone hang ho sakta hai. Ager apne fone mai heavy game use kiya hai to bhi aapka fone response slow ho sakta hai ya fone hang ho sakta hai. Apne Ager fone mai aap use karne ke baad aap ko sahi dang se log out nahi kiya to bhi aapka fone hang ho sakta hai. Smart Fone nya ho ya purana lagbag sabhi fone mai ye problem aa sakti hai. kayi baar fone memory khali hone ke baad bhi fone response slow ho jata hai, Khaskar jab aap fone ko swipe karte hai to aapko ek leg najar aane lagta hai fone ki screen par touch karne par bhi acha response nahi milta. Response Time Bad Jata hai jis vajah se fone ko istmaal karne par bhi good feel nahi kar pate. Is ke baad aap fone ki memory ya app delete karte hai, Lekin fir bhi hang problem ka sahi se tik nahi ho pati. Aapko bta de ki Smart Fone Hang Problem ka Based UIE yani user interface se juda hai.


Smart Fone Hang Problem ko Kaise Solve kare



How to Solve Smart Fone Hang Problem

·        Smart Fone hang problem ko thik karne ke liye aapko Smart Fone ke Stock Feature yani jo Feature fone mai inbuilt hote hai ya jo feature ya app fone ke sath aate hai unme kuch change karna hoga. Andriod fone mai Animation Scale ka option hota hai, iske ilava kuch Animation lenth, Animation Duration Scale, or Transition Animation Scale type ke option hote hai. In mai badlav kar fone mai hone vale leg ko stop kiya ja sakta hai. Is Feature ko on karne se pahle aapko Developer Access ko on karna hoga.


·        Fone mai Developer option Aapko Asani se nahi milega. Kyuki ye option fone mai hide hota hai. Is option ko on karne se pahle aapko fone ki setting mai jana hoga. Yaha aapko About Fone ka option milega. About Option par click karne ke baad aapko Build Number ka option milega, ye todha niche hota hai. But kuch fone mai ye option Software information mai jakar more option ke ander hota hai

·        Build option par aapko 7 baar click karna hai. 7 Baar click karne ke baad apke fone par ek message show hoga ki ab aap Developer ho gaye hai or Developer Option aa jayega.

·        Ye option aapko Bahar Setting mai About Fone ke uper milega. Kuch fone mai is option ko More Setting mai bhi diya jata hai

·        Ab aap Apne fone mai ho rahe leg, Slow Response  ko katam karne ke liye Animation Scale Mai Change kar sakte hai. Iske liye sabse pahle setting mai jakar Developer option par click karna hoga. Is Section mai aapko bahut sare option milege. Aapko toda scroll karna hai.

·        Scroll karne par Aapko Animation Duration Scale ka option Milega. Aapko is Option par click karna hai. Isme aapko window animation scale, Transition Animation Scale, Animation Duration Scale Milega.

·        Tino option mai jakar screen animation ko ya to kam kar de ya fir off karde. Ishe sath hi fone mai leg related problem solve ho jayegi



Ager Aapko fir bhi lagta hai ki abhi bhi fone mai Slow Response problem hai to aap fone ko restart kar de. Iske Baad aap kud hi mehsus kare ge ki aapka android fone pahle se kafi fast ho gya hai or Swipe bhi pahle se acha ho jayega, Sath hi touch Screen Response bhi kafi achi ho jayega..


Final Word…

Is Post ko Follow kar aap apne Smart Fone ki hang problem ko 100% solve kar payege. Aapko Smart Fone Hang ke Solution par ye jankari kaisi lagi.Aap comment mai Vichar rakh sakte hai. Ager ye Post pad kar aapko Kuch Nya sikne ko mila to Please aap is post ko jada se jada share kar Friend ko bhi padne ka moka de…


GyaniMaster.Com

No comments:

Post a Comment