Breaking

Share Market से पैसे कैसे कमाएं (Important Tips)

Share Market Se Paise Kaise Kamaye

Share Market Se Paise Kaise Kamaye

Hello Friends! Aaj hum aapse Share Market se related important jankari Share kar rahe hai. Bahut se logo ke ye question hote hai ki Share kya hote hai. Share Market se Paisa kaise kamaye Etc. Aaj ham aapko Share Market kya hai. Share Market se paisa kamne ke liye kin kin bato ka pta hona jaroori hai se related jankaari share karege. Aapko is Post ko last tak padna hai. Post ko End tak Padne ke baad aapko  Share Market se related bahut si information ke bare mai pta chal jayega.

 Share  Kya hai ?

Share Market Se paise Kaise Kamaye


Share kisi company ka hissa hota hai jise Company dwara hi jari kiya jata hai. Share ko Aap Paise de kar karid sakte hai. Jab Aap Share Karid Lete hai to Jis bhi Company ka aapne Share Purchase kiya hai vo company aapko Aapke Karide gaye share ka Certificate deti hai.Share ki Value up and down hoti rahti hai. Ager Company Profit mai jati hai to Share ki kimat bhi Up ho jati hai or ager lose mai jati hai to down ho jati hai. Is hisab se ager 6 month mai Company ke share ki kimat Aapke karide gaye share se 25 Rs bad jati hai to Aapko Share Bechne par Profit hota hai. Par Jaroori nahi hai ki Company Ka Share Profit mai hi rahe. Kabhi Kabhi Share loss mai bhi Aa jata hai. Is Situation mai Aapko Apne Share ko Hold par hi rakhna chahiye or share ki kimat badne ka intjaar karna chahiye.

Crorepati कैसे बने


Share Ko Kaise Karide ?

Share ko karidne ya bechne ke liye demat account ki jarurat hoti hai. Aapke Karide ya beche gaye sabhi share ka hisab kitab ishi demat account ke jariye hi hota hai. Share karidne se pahle aapko demat account ko open karna jarori hota hai. Demat account kulvana bahut easy hai. Demat account open karvane ke liya aap kisi bhi Share Broker (Dalal) ke pass Chale jayen. Vo aapka PAN Card dekhkar aapka Demat Account Open kar dega. Demat Account open ho Jane ke baad aap aasani se share ka Buisness kar payege.

Share ko Karidne ke liye aap ushi brker ke pass jaye jha se aapne demat account open kiya hai. Share Market Up and Down hota rahta hai. Aapko Share  Tabhi karidna chahiye jab Share Bazaar Down par ho. Share Bazaar ke Girne par hi aapko share ko karidna chahiye or Share Market ke Up hone par bech dena chahiye.

Zerodha पर Demat Account खोले

Share Bazaar ka Kaam Kab Hota hai


Share Bazaar ka kaam Week mein 5 din somvaar se lekar shukravaar ke bich mai hota hai. Share Bazaar Subah 9 Am par open hokar shaam ko 3.15 Pm band ho jata hai. India mai 2 Stock Exchange hai jahan se saare share bazaar ko control kiya jata hai. ye Hai National Stock Exchange (NSE) or Bombay Stock Exacange (BSE).

Share Market se Daily Paisa Kaise Kamaye


Share Market se Daily paisa Kamana difficult to jaroor hai par impossible nahi. Share Market se daily paisa kamane ke liya aapko share market ki barikiyo ko samjna jaroori hai. Ager aap Share Market ki Barikiyo ko nahi samaj paye to aapko paisa kamane mai difficulty aa sakti hai. kyuki kisi bhi kaam mai tab tak success nahi milti jab tak us kaam ki foundation se lekar roof tak ki jaankari nahi hoti.

Share Market Mai Daily paisa Kamane ke liye aapko Subah share ko karidna or sham ko bech dena hota hai. Aapko bas Broker ke pass jana hai or Share Bazaar ka Subah ka Baav puchna hai ki kon se share sham tak profit mai rah sakte hai or konse loss mai. Maan lo Broker ne aapko kisi company ka share bataya jiski kimat 100 Rs hai or Aapne 10 share ko subah karid liya or sham tak un share ki kimat 110 ho gayi or aapne is kimat par share ko bech diya to aapko 1000 Rs ka invest kar sham tak 100 Rs ka Profit ho gya. Par ager Share ka baav badne ki vjaye kam ho jaye to aapko Share ko hold kar lena chahiye or baav badne par hi bechna chahiye. Ishi Trah aap Share Market Se Daily Paisa kma sakte hai.

Share Market se paisa kamane ke Important Tips



1.      Ager Aap Share Market ke Loss se Bachna Chate hai to Aapko Share karidne se pahle Share Market mai Trusted Company ka Pta Lagana Jaruri hai. Aap Share Market ke Baare mai jada se jada knowledge badahe. Or Share Market se Related Article, Newspaper, CNBC awaz jaisi Tv Channel ko Dekhna chahiye. Iske Ilava aap internet se bhi share market par najar rakh skate hai or par day kuch nya sikte rahe or Jab aapko Share Maket ka A to Z pta chal jaye tab hi Share mai invest kare.


2.      Jab Aapko Lage ki Ab Share mai invest kiya jaye tab bhi kuch din ruke. Aap 5-6 company ko select kare or unke share par najar rake kab share down par hai kab up par ja raha hai. kam se kam 2 month tak aap company ki complete detail  rakhe or ager ab aapko lagta hai share mai invest karna chahiye to aap Selected Company ke share mai invest kar sakte hai.

3.      Jab aap starting mai share Market mai share par invest kare to kam Rs mai hi invest kare. Kyuki ek to aap Share Market mai New hai or Share Market ka  kab Loss mai chla jaye kuch pta nahi hota or ager aapne starting mai hi jada amount invest kar diya to aap loss mai bhi ja sakte hai.

4.      Starting mai share mai invest kar share ke profit mai hote hi bech dena chahiye.kyuki ager aap profit ke jada lalach mai rahe ge to loss bhi ho skta hai.

5.      Share Market mai Bahut se log baar baar invest karte hai par fir bhi fail ho jate hai . Unka fail hone ka main reason vo apne paise ko sahi Share par invest nahi kar pate. Share Market ki koi garanty nahi hai ki aap share mai profit hi kamaye. Share mai profit ya loss sab company par depand karta hai. Ager Company ki value badti hai ya company ko Profit hota hai tab hi aap profit kar payege otherwise loss utana padega.

6.      Share mai loss utane ka main karan Company mai Comptition ka hona hai kyuki bahut si company ek dusre se aage niklne ki try mai rahti hai or jis vajah se company jaldi jaldi loss ya profit karti hai. Aapko company ki history, value, product value, demand , Etc par research kar hi company ka share buy karna chahiye tab aapke Profit ke chance Ban jate hai.

Final Word..


Ager Aap in sabhi tips ko follow kar share market mai invest karege to aapke profit ke chance bilkul bad jayege. Aapko ye jankari kaise lagi Gyanimaster.com Team ne Puri Kosish ki hai ki aap Share Market ki Kuch Important Factor ko is post ke Dwara Samaj paye..

Ager aapko ye post achi lagi hai to please is Post ko Share kar apne Dosto ko bhi padne ka moka de..


1 comment:

  1. a YouTuber from Odisha Nua pada drastic name call odia fast tech now earn 1 million rupees per day

    ReplyDelete