Aaj ka hamara topic ‘Amazon
Affiliate Program se paise Kaise Kamaye’ se related hai. Aap Amazon Affiliate
Program join kar easily paise kama sakte hai.
Friends maine
apni pichli post mai bataya tha Affiliate Marketing kya hai. Aaj ham Amazon
Affiliate Program ke bare mai Jaankari de rahe hai. Amazon Affiliate Program join kar
aap apni website se easily earning kar sakte hai.
Amazon Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye
Amazon.com ke bare mai to aap
sabhi jante hi hoge. Amazon ek bahut hi badi E-commernce site hai. Amazon par
aap clothes,Mobile ,
TV, Book etc ko kharid sakte hai. Starting mai amazon company sirf books ko hi
online sell karne ke liye Amazon.com website banayi thi par dire dire amazon
par Clothes, Mobile, Fashion Product, Electronics Material, Etc sab kuch sell
hone lga or Aaj ki date mai sabhi E-Commerce site mai Amazon.com hi Number one
hai. Amazon company apne product ki sell ko increase karne ke liye Amazon
Affiliate Program ki service bhi de rahi hai. So aap Amazon Affiliate Program
ko join kar paisa kama sakte hai. Amazon Affilate
Program se income karne ke liye aapko amazon ka product apni site par sell
karna padta hai. Aap Clothes, Shoes, Watch, Mobile , Electronic Gadget, Laptops Etc ko
apni site ke jariye bech sakte hai. Amazon aapki choice ke according product ke
Banners, Links, Widgets etc ko aapki site par lagane ke liye html code deti
hai. Aapko simple us code ko copy kar apni site par lagana hota hai. Jab aap
Code ko apni site par laga dete hai to aapka choice kiya hua product aapki site par
show hone lagta hai. Jab koi visitor us product ko buy karta hai to aapko income hoti
hai. Ye income product par referral commission ke according maximum 15% tak ho sakti hai.
Amazon Affiliate Program ko Join kaise Kare
·
Amazon Affiliate
Program ko join karne ke liye aapko https://affiliate-program.amazon.in
par jana hoga.
·
https://affiliate-program.amazon.in
par jane ke baad aap ‘Join Now for Free’ button par click kare.
·
‘Join Now for
Free’ par click karne ke baad aap ‘E-mail or Mobile Number’ box fill kare.
·
‘E-mail or Mobile
Number’ fill karne ke baad aap ‘I am a New Customer par ok karne ke baad ‘Sign
in using our sucure server’ par click kare
·
Ab jo page open
hoga usme aapko ‘ Name, E-mail address, Password, Detail fill karni hai
ü
My Name is : isme
aapko apna name fill karna hai
ü
My E-mail Address
id : isme aapka email address show hoga jo aapne ‘sign in’ se pahle fill kiya
tha.
ü
Type it Again :
isme aap dubara vohi email address dale jo aapne pahele dala tha.
ü
Enter a New
Pasword : isme aapko apna password create karna hai aapko koi bhi password
create kar sakte hai.
ü
Type it Again :
isme aapko apna same password dobara enter karna hai jo apne is se upar vale
box mai banaya hai. Yaad rahe aapko is box mai same password hi enter karna hai
nahi to aapka account create nahi hoga.
ü Create Account : Create account par click kare. Create Account par click karne ke baad aap next page par poch
jayege.
·
Ab aapko is page
ko bhi fill karna hai.is page ko fill karne ke liye niche diye step ko follow
kare.
ü
Payee Name : isme
aapko apna Name fill karna hai. Aap payee name mai vohi name enter kare
jis name se aapka bank account hai.
ü
Address line 1 :
isme aapko sirf apna house address enter karna hai
ü
Address line 2 :
isme aapko apna area, tehsil enter karna hai
ü
Address line 3 :
isme aap apna district ka name dale
ü
City : Apni city
ka name dale
ü
State, Province
or Region : Apne state ka name fill kare
ü
Postal Code : Apni City
ka zip/pin code enter kare.
ü
Country : Country
already selected hogi isme aapko kuch fill nahi karna hai.
ü
Phone Number :
Apna fone number dale
ü
Who is the Main
Contact From Account : ye option already select hoga. Isme aapko kuch nahi
karna hai.
ü
For U.S, Tax
purposes, are you a U.S Person ? : Isme aapko ‘Yes’ or ‘No’ option mai se ‘No’
option select karna hai,
ü
Ab aap Next par
click kare.
§
Next page click
karne ke baad ek or page open hoga is page mai aapko aapki website ya mobile
app ki detail fill karni hai
§
Website Url dalne
ke baa dab aapko ‘Next’ par click karna hai
§
Ab fir ek long
page open hoga yaha aapko kuch details fill karni hai.
ü
What is your
preferred associates store id ? : yaha aapko id name create karna hai.
ü
Your website list
: yaha aapko aapki di gayi website dikayi degi. is option mai aapko kuch nahi karna hai
ü
What are your
websites or mobile apps about : yaha aapko apni
di gayi website se related information deni hai vo kya kaam karti hai
etc like study related hai ya health related aapko site related hi information
fill karni hai
ü
Which of the
following topics best describes your websites on mobile apps : isme aapko aaki
site se related Select primary and second topics choose karna hai
ü
What type of
amazon items do you inten to list on your websites or mobile apps ? : Aap yaha par books, Mobile , Clothes etc mai se kuch bhi select
kar sakte hai.
ü
What type are your
websites or mobile apps ? : Yaha bhi aapko primary and secondary option mai
site related hi option ko choose karna hai.
ü
How do you drive
traffic to your websites ? : yaha par aap blog , seo and social traffic ko
choose kar sakte hai.
ü
How do you
utilize your website and app to generate income : isme aapko dono mai se apni
pasand ka koi ek option choose karna hai.
ü
How many total
unique visitors does your website get per month? : yaha apni site ke par month
visitor se related less than option select kare
ü
What is your primary
reason for joining Amazon Associate Arogram ?
: isme aapko other select karna hai.
ü
How did you hear
about us : Isme aapko koi ek option choose karna hai aap blog post. Advertisement,
Friend etc mai se select kar sakte hai
§
Ab aapko captha code enter karne ke baad 'Terms and Condition' agree kar fill option par click kar dena hai.
Congratulations ..
Ab aapki Amazon Affiliate
Program join karne ki sari process complete ho gayi hai or aap kuch hi Hours mai
Amazon Affiliate Program ko use kar payege. Aapko aapki email id par Amazon
Affiliate Program ka successful join email send kar diya jayega or ab aap
easily amazon code ko apni site par lga kar or Social site par product url
share kar paisa kama payege or jab aapke amazon account mai above 1000 Rs ho
jayege to aap un paiso ko Bank mai Transfer kar Sakte hai. Ager aapko Amazon
Affiliate Marketing se related koi bhi sawal hai to aap comment box ke jariye
puch sakte hai.
Friends aapko ‘ Amazon
Affiliate Marketing se paisa kaise kamaye’ post achi lagi hai to Please is Post
ko jada se jada share kare or Ager aap ‘Make Money’ se related post ko apni email id par chahte hai to hamari website par
diye email subscribe box ka use kare. Aap hamse facebook. Twitter, Google+ ,
youtube se bhi jud sakte hai
Affiliate marketing ke bare me bahut shandar information shere ki he aap ne
ReplyDeletegood information,thank you sir
ReplyDeleteBahut achchhi janakari di apne thankyou sir g
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeletezszdx
ReplyDeleteMaine account to banane Liya hai par upar me Facebook tex nahi aaya Raha hai
ReplyDeleteSir account pe jo link hoga just like phone ka link daale wo link se koi gya or mobile ke badle kuch bhi buy karega to uska commition milega
ReplyDeleteMain amazon affiliate krna chah rhi hun lkin meri personal site nhi h aor na blog to kaise kru work?;-(
ReplyDelete